ubhar aaya ruKH par haya ka nagina
jabin par na dekha tha aisa pasina
chali aa rahi hai hasinon ki Toli
zamin par hai qaus-e-quzah ka qarina
mere hath aa hi chala tha kinara
laga Dubne mere dil ka safina
kasak soi rahti hai barson kabhi to
jo jage to jage mahina mahina
bhala kaun jaane wo aaen na aaen
mere pas rahne hi do jam-o-mina
kabhi tum ne dekhi hain pur-KHar rahen
jo kahte ho ulfat ko phulon ka zina
uDa li jo chori se galon ki chuTki
to bole 'kanwal' bhi hai kitna kamina
Ghazal
Ubhar aaya ruKH par haya ka nagina
Kanwal Siyalkoti