ubalte paniyon mein hun kahan ubaal ki tarah
main aaj bhi hun tah-nashin guzishta sal ki tarah
dilon mein sab ke chubh rahi hai ek sawal ki tarah
teri nigah-e-yas bhi hai mere haal ki tarah
karunga tujh se guftugu zara Thahar nimaT to lun
khaDa hai koi beach mein abhi sawal ki tarah
na puchh mujh se haal dil ki in dinon hai zindagi
kisi uruj-e-dida ki shab-e-zawal ki tarah
wo ek yaad jo abhi hai dagh-e-dil bani hui
phisal na jae zehn se kisi KHayal ki tarah
na puchh 'qaisar'-e-hazin ajib si wo chiz hai
bichhi hui hai shahr mein jo ek jal ki tarah
Ghazal
Ubalte paniyon mein hun kahan ubaal ki tarah
Qaisar Shameem