TuTta hun kabhi juDta hun main
jagti aankh ka sapna hun main
apni surat ko tarasta hun main
aaina DhunDne nikla hun main
kabhi pinhan kabhi paida hun main
kis fusun-gar ka tamasha hun main
KHalish-e-KHar kabhi nikhat-e-gul
har-nafas rang badalta hun main
dekhiye kis ki nazar paDti hai
kab se showcase mein rakkha hun main
koi tiryak nahin mera ilaj
kushta-e-zahr-e-tamanna hun main
kabhi uThte hain mere dam bahut
kabhi be-mol bhi mahnga hun main
koi pahchane to kya pahchane
kabhi surat kabhi saya hun main
aatish-e-gham ki tamazat ke nisar
jitna tapta hun nikharta hun main
koi jada hai na manzil 'sabir'
apne hi gird bhaTakta hun main
Ghazal
TuTta hun kabhi juDta hun main
Nau Bahar Sabir