TuTe taKHte par samundar par karne aae the 
ham-safar tufan-e-gham se pyar karne aae the 
Dar ke jangal ki faza se pichhe pichhe ho liye 
log chhup kar qafile par war karne aae the 
is gunah par mil rahi hai sang-sari ki sazi 
pattharon ko nind se bedar karne aae the 
log samjhe apni sachchai ki KHatir jaan di 
warna hum to jurm ka iqrar karne aae the 
wo bhi karb-e-KHud-bayani mein 'zafar' ghaltan mila 
jis se apni zat ka izhaar karne aae the
        Ghazal
TuTe taKHte par samundar par karne aae the
Zafar Ghauri

