TuT kar rah gaya aaine se rishta apna
ek muddat hui dekhna nahin chehra apna
koi tufan hai na ab koi talatum dil mein
sahil-e-dard pe Thahra hai safina apna
lafz-o-mani ke nae phul ubhar aaenge
naqsh ho jae jo qirtas pe lahja apna
yaad KHushbu hai chhupane se kahan chhupti hai
mauj-e-gul KHud hi bana leti hai rasta apna
jis ke jaane se munawwar hue palkon pe charagh
aaj tak us ne dikhaya nahin chehra apna
raat ke sath 'asar' lauT ke ghar jata hai
rasta dekh raha hoga daricha apna
Ghazal
TuT kar rah gaya aaine se rishta apna
Mohammad Ali Asar