TuT kar andar se bikhre aur hum jal-thal hue
tujh se jab bichhDe to itna roe hum baadal hue
the kabhi aabaad jo zaKHmon ke phulon se yahan
dekhna wo shahr is mausam mein sab jangal hue
dhup se mahrumiyon ki the hirasan log sab
ruh ke aazar se kuchh aur bhi pagal hue
jin se wabasta thi 'shabnam' zindagi ki har KHushi
aah kaise log the nazron se jo ojhal hue
Ghazal
TuT kar andar se bikhre aur hum jal-thal hue
Siddiqa Shabnam