اردو हिंदी
TuT kar aalam-e-ajza mein bikharte hi rahe | Shaahi Shayari
TuT kar aalam-e-ajza mein bikharte hi rahe

Ghazal

TuT kar aalam-e-ajza mein bikharte hi rahe

Rafat Shameem

;

TuT kar aalam-e-ajza mein bikharte hi rahe
naqsh-e-tamir jahan ban ke bigaDte hi rahe

apne hi wahm-o-tazabzub the KHarabi ka sabab
ghar aqidon ke basae to ujaDte hi rahe

jaane kya baat hui mausam-e-gul mein ab ke
pankh panchhi ke fazaon mein bikharte hi rahe

chand yaadon ki panah-gah mein jaane kyun hum
saya-e-sham ki manind simaTte hi rahe

hum ne har rang se chehre ko sajaya lekin
apni pahchan ke aasar bigaDte hi rahe