TuT jata hai sitaron ka bharam raat gae
jagmagate hain tere naqsh-e-qadam raat gae
kya bataen jo guzarti hai hamare dil par
yaad aate hain jab apnon ke sitam raat gae
gharq ho jati hai jab nind mein sari duniya
jag uThte hain adibon ke qalam raat gae
roz aate hain sada de ke chale jate hain
dil ke darwaze pe kuchh ahl-e-karam raat gae
rok leti hai teri yaad sahaara ban kar
Dagmagate hain agar mere qadam raat gae
jin ki ummid mein hum din ko jiya karte hain
TuT jate hain wahi qaul-o-qasam raat gae
jin ki qismat mein nahin din ka ujala 'mansur'
un charaghon mein jala karte hain hum raat gae
Ghazal
TuT jata hai sitaron ka bharam raat gae
Mansoor Usmani