tur par apne kisi din bhi KHur-o-KHwab hai yan
zindagani ka bhala kaun sa asbab hai yan
chah-e-simab se simab jo joshan hai hanuz
main samajhta hun ki madfun koi betab hai yan
KHam-e-abru ki tere kyunke na tarif karun
is se behtar bhi koi tegh-e-siyah-tab hai yan
maqtal-e-ishq ki bhi kya hi hai ja-e-khaTki
ki na sar aur na sajda hai na mehrab hai yan
meri turbat ke to aangan mein na Thahra ek dam
ye tere ji mein na aaya shab-e-mahtab hai yan
kushtagan ko teri shamshir yahi kahti hai
kijiye is pe qanaat to dam-e-ab hai yan
is ko bhi gar na falak dekh sake char wale
aur to kya hai pareshani ka asbab hai yan
e'tibaraat hain ye hasti-e-mauhumi ke
fil-haqiqat to koi KHan hai na nawwab hai yan
KHak turbat ki meri dekh chamakti ahbab
ji mein kahte hain magar madan-e-simab hai yan
kya KHat-e-ashiq-o-mashuq ko koi samjhe
kuchh kinayat si hai aadab na alqab hai yan
'mushafi' aap hi hum qatl hain apne hathon
warna kin KHwah tu rustam hai na sohrab hai yan
Ghazal
Tur par apne kisi din bhi KHur-o-KHwab hai yan
Mushafi Ghulam Hamdani