اردو हिंदी
Tufan se qarya qarya ek hue | Shaahi Shayari
tufan se qarya qarya ek hue

Ghazal

Tufan se qarya qarya ek hue

Akhtar Hoshiyarpuri

;

tufan se qarya qarya ek hue
phir ret se chehra chehra ek hue

chand ubharte hi ujli kirnon se
upar ka kamra kamra ek hue

almari mein taswiren rakhta hun
ab bachpan aur buDhapa ek hue

us ki gali ke moD se guzre kya the
sab rahi rasta rasta ek hue

diwar giri to andar samne tha
darwaza aur daricha ek hue

jab wo paudon ko pani deta tha
pas-manzar aur nazara ek hue

kal aankh-micholi ke khel mein 'aKHtar'
main aur peDon ka saya ek hue