tufan se bach ke daman-e-sahil mein rah gaya
mushkil ke baad aur bhi mushkil mein rah gaya
ek shor tha jo gosha-e-mahfil mein rah gaya
ek dard tha jo dil se uTha dil mein rah gaya
ab wo nigah-e-naz hui mail-e-karam
jab koi muddaa na mere dil mein rah gaya
manzil mere qarib se ho kar guzar gai
aur main talash-e-jada-e-manzil mein rah gaya
manzil fana-e-zauq-e-talab ka maqam thi
achchha hua main sarhad-e-manzil mein rah gaya
allah-re jazb-e-ishq ki husn-e-nigah-e-qais
ek naqsh ban ke parda-e-mahmil mein rah gaya
nala to KHair nang-e-gham-e-ishq tha magar
naghma bhi soz-o-saz ki mahfil mein rah gaya
sare hijab-e-husn nigahon se haT gae
ek aaina zarur muqabil mein rah gaya
mujh se ye puchhti hain meri hichkiyan 'figar'
ab kitna fasla teri manzil mein rah gaya
Ghazal
Tufan se bach ke daman-e-sahil mein rah gaya
Figar Unnavi