اردو हिंदी
Tufan nazar mein hai na kinara nazar mein hai | Shaahi Shayari
tufan nazar mein hai na kinara nazar mein hai

Ghazal

Tufan nazar mein hai na kinara nazar mein hai

Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

;

tufan nazar mein hai na kinara nazar mein hai
ek azm-e-mo'atabar ka sahaara nazar mein hai

wo din gae ki tirgi-e-shab ka tha malal
ab jalwa-e-sahar ka nazara nazar mein hai

husn-e-numud-e-subh ka allah re kamal
bahta hua wo nur ka dhaara nazar mein hai

kuchh zauq par garan to na tha husn-e-kaenat
kya kijiye ki husn tumhaara nazar mein hai

dil ko luTe hue to zamana hua magar
ab bhi kisi nazar ka ishaara nazar mein hai

uf DabDabaati aankh se girta hua wo ashk
ab tak wo Dubta hua tara nazar mein hai

wo be-ruKHi se dekhte hain dekhte to hain
'mansha' maqam kuchh to hamara nazar mein hai