tufan mein bhanwar mein na dhaaron ki god mein
Dubi hai meri naw kinaron ki god mein
kya jaane aaj kyun hain sitare dhuan dhuan
ye kaisi tirgi hai sitaron ki god mein
bad-nam gulsitan mein KHizan hi to hai magar
kya kya na gul khile hain bahaaron ki god mein
mausam tha KHush-gawar to manzar tha KHush-gawar
ab wo kashish kahan hai nazaron ki god mein
raftar par bhi qaid thi guftar par bhi qaid
guzri bhi zindagi to hisaron ki god mein
ai dost dusron ka sahaara to maut hai
KHud-dar kab pale hain sahaaron ki god mein
mizrab-e-waqt chheDe tu 'kausar' sunai de
aawaz gum hai saz ke taron ki god mein
Ghazal
Tufan mein bhanwar mein na dhaaron ki god mein
Kausar Siwani