tufan-e-bala se jo main bach kar guzar aaya
wo puchh ke sahra se pata mere ghar aaya
aaghaz-e-tamanna ho ki anjam-e-tamanna
ilzam bahr-e-haal hamare hi sar aaya
is mein to koi dil ki KHata ho nahin sakti
jab aankh lagi aap ka chehra nazar aaya
basti mein meri kaj-kalhi jurm hui hai
dekhunga agar ab koi patthar idhar aaya
aaya teri mahfil mein jo bhule se mera nam
aaankhon mein zamane ki wahin KHun utar aaya
aisa bhi kahin tark-e-talluq mein hua hai
nama koi aaya na koi nama-bar aaya
fan hai wo samundar ki kinara nahin jis ka
Duba hun 'muzaffar' to mera nam ubhar aaya

Ghazal
Tufan-e-bala se jo main bach kar guzar aaya
Muzaffar Hanfi