اردو हिंदी
Tu ziyaada mein se bahar nahin aaya karta | Shaahi Shayari
tu ziyaada mein se bahar nahin aaya karta

Ghazal

Tu ziyaada mein se bahar nahin aaya karta

Ahmad Kamran

;

tu ziyaada mein se bahar nahin aaya karta
main ziyaada ko mayassar nahin aaya karta

main tera waqt hun aur ruTh ke jaane laga hun
rok le yar main ja kar nahin aaya karta

ai palaT aane ki KHwahish ye zara dhyan mein rakh
jang se koi barabar nahin aaya karta

chand peDon ko hi majnun ki dua hoti hai
sab daraKHton pe to patthar nahin aaya karta

ab mujawir bhi qalandar se baDe ho gae hain
ab mazaron pe kabutar nahin aaya karta