tu yaad aaya aur meri aankh bhar gai
aksar tere baghair qayamat guzar gai
awwal to muflison ki koi aarzu nahin
paida kabhi hui bhi to ghuT ghuT ke mar gai
ek ishq jaise lafz mein muzmir ho kaenat
ek husn jaise dhup chaDhi aur utar gai
naz o ada se panw uThe aur laraz gae
achchha hua ki us ki bala us ke sar gai
'tariq' tasawwuraat mein aahaT si kya hui
jalte gae charagh jahan tak nazar gai
Ghazal
Tu yaad aaya aur meri aankh bhar gai
Shamim Tariq