tu urus-e-sham-e-KHayal bhi tu jamal-e-ru-e-e-sahar bhi hai
ye zarur hai ki ba-in-hama mera ehtimam-e-nazar bhi hai
ye mera nasib hai ham-nashin sar-e-rah bhi na mile kahin
wahi mera jada-e-justuju wahi un ki rahguzar bhi hai
hama kashmakash meri zindagi kabhi aa ke dekh ye bebasi
teri yaad wajh-e-sukun sahi wahi raaz-e-dida-e-tar bhi hai
tere qurb ne jo baDha diye kabhi miT sake na wo fasle
wahi panw hain wahi aable wahi apna zauq-e-safar bhi hai
ba-hazar danish-o-agahi meri maslahat hai abhi yahi
main asir-e-zulmat-e-shab sahi meri dastaras mein sahar bhi hai
Ghazal
Tu urus-e-sham-e-KHayal bhi tu jamal-e-ru-e-e-sahar bhi hai
Suroor Barabankvi

