tu tishnagi ki aziyyat kabhi furaat se puchh
andheri raat ki hasrat andheri raat se puchh
guzar rahi hai jo dil par wahi haqiqat hai
gham-e-jahan ka fasana gham-e-hayat se puchh
main apne aap mein baiTha hun be-KHabar to nahin
nahin hai koi talluq to apni zat se puchh
dukhi hai shahr ke logon se bad-mizaj bahut
jo puchhna hai mohabbat se ehtiyat se puchh
tu apni zat ke andar bhi jhank le 'sahil'
zamin ka bhed kisi roz kaenat se puchh
Ghazal
Tu tishnagi ki aziyyat kabhi furaat se puchh
KHalid Malik u0027Sahilu0027