tu samajhta hai to KHud teri nazar gahri nahin
warna buniyaad-e-KHizan ai be-KHabar gahri nahin
wasl-e-shirin hai na ju-e-shir hai tere nasib
zarb ai farhad teshe ki agar gahri nahin
ye bhi mumkin hai ki KHud teri nawa ho narm-KHez
nind logon ki to ai murgh-e-sahar gahri nahin
zindagi ki aaj qadren hain faqat gamlon ke phul
un mein ranai hai jaD un ki magar gahri nahin
hum ne un aankhon mein akasr jhank kar dekha 'sharif'
koi shai marmuz itni is qadar gahri nahin
Ghazal
Tu samajhta hai to KHud teri nazar gahri nahin
Sharif kunjahi