اردو हिंदी
Tu phul ki manind na shabnam ki tarah aa | Shaahi Shayari
tu phul ki manind na shabnam ki tarah aa

Ghazal

Tu phul ki manind na shabnam ki tarah aa

Fana Nizami Kanpuri

;

tu phul ki manind na shabnam ki tarah aa
ab ke kisi be-nam se mausam ki tarah aa

har martaba aata hai mah-e-nau ki tarah tu
is bar zara meri shab-e-gham ki tarah aa

hal karne hain mujh ko kai pechida masail
ai jaan-e-wafa gesu-e-pur-KHam ki tarah aa

zaKHmon ko gawara nahin yak-rangi-e-haalat
nashtar ki tarah aa kabhi marham ki tarah aa

nazdiki o duri ki kashakash ko miTa de
is jang mein tu sulh ke parcham ki tarah aa

mana ki mera ghar teri jannat to nahin hai
duniya mein meri laghzish-e-adam ki tarah aa

tu kuchh to mere zabt-e-mohabbat ka sila de
hangam-e-fana dida-e-pur-nam ki tarah aa