اردو हिंदी
Tu payambar sahi ye moajiza kafi to nahin | Shaahi Shayari
tu payambar sahi ye moajiza kafi to nahin

Ghazal

Tu payambar sahi ye moajiza kafi to nahin

Aal-e-Ahmad Suroor

;

tu payambar sahi ye moajiza kafi to nahin
shairi zist ke zaKHmon ki talafi to nahin

saya-e-gul mein zara der jo sustae hain
saya-e-dar se ye wada-KHilafi to nahin

apni duniya se mili fursat-e-yak-jast hamein
aasman ke liye ek jast hi kafi to nahin

kisi chaDhte hue suraj ki parastish na karo
dekh lo is mein koi shoabada-bafi to nahin

tishnagi hum ko mili tum hue sairab to kya
in muqaddar ki sazaon se muafi to nahin

dew-mala ka dhundlaka ho ki KHwabon ki kiran
aaj ki aaina-sazi ki munafi to nahin

KHwab Takrao haqiqat se ki shoale niklen
is andhere mein diya ek hi kafi to nahin