اردو हिंदी
Tu ne kyun humse tawaqqo na musafir rakkhi | Shaahi Shayari
tu ne kyun humse tawaqqo na musafir rakkhi

Ghazal

Tu ne kyun humse tawaqqo na musafir rakkhi

Zafar Ajmi

;

tu ne kyun hum se tawaqqo na musafir rakkhi
hum ne to jaan bhi tere waste hazir rakkhi

han ab us samt nahin jaana par ai dil ai dil
baam par us ne koi shama agar phir rakkhi

ye alag baat ki wo dil se kisi aur ka tha
baat to us ne hamari bhi ba-zahir rakkhi

ab kisi KHwab ki zanjir nahin panw mein
taq par wasl ki ummid bhi aaKHir rakkhi

jab bhi ji chahta marne ko hazaron the jawaz
zindagi hum ne salamat teri KHatir rakkhi

hijr ki shab koi wada na koi yaad 'zafar'
tu ne kya chiz bacha kar mere shaer rakkhi