اردو हिंदी
Tu ne gham KHwah-maKHwah us ka uThaya hua hai | Shaahi Shayari
tu ne gham KHwah-maKHwah us ka uThaya hua hai

Ghazal

Tu ne gham KHwah-maKHwah us ka uThaya hua hai

Saleem Sarfaraz

;

tu ne gham KHwah-maKHwah us ka uThaya hua hai
dil ye nadan to kisi aur pe aaya hua hai

is zamane ko dikhane ke liye chehre par
hum ne ek chehra-e-shadab chaDhaya hua hai

raat-bhar chand-sitaron se sajate hain use
hum ne jis ghar ko tasawwur mein basaya hua hai

ek chehra jise hum ne bhi nahin dekha kabhi
apni aankhon mein zamane se chhupaya hua hai

sahal lagta hai tujhe kya safar-e-sher-o-suKHan
umr-bhar dhup mein jhulse hain to saya hua hai

wird karte the kabhi jis ka shab-o-roz 'salim'
jaane kya nam tha ab dil ne bhulaya hua hai