tu nahin to tera dard-e-jaan-faza mil jaega
zinda rahne ka koi to aasra mil jaega
ai meri chashm-e-pasheman apne aansu rok le
raat ki tanhai mein rone se kya mil jaega
zindagi ke karwan par kuchh asar paDta nahin
ek musafir kho gaya to dusra mil jaega
sari basti mein faqat mera hi ghar hai be-charagh
tirgi se aap ko mera pata mil jaega
sochte rahne se to manzil kabhi milti nahin
chalte jao raste se rasta mil jaega
koi to mera bhi hoga muntazir 'baqi' yahan
ek na ek to dil ka darwaza khula mil jaega
Ghazal
Tu nahin to tera dard-e-jaan-faza mil jaega
Baqi Ahmad Puri