tu na aaya teri yaadon ki hawa to aai
dil ke tapte hue sahra pe ghaTa to aai
main to samjha tha ki ab koi na apna hoga
tere kuche se magar ho ke saba to aai
mere marne ki sahi jaan se guzarne ki sahi
mere haq mein tere honTon pe dua to aai
dil-dahi ka jo saliqa nahin aaya na sahi
aap ko dil ke dukhane ki ada to aai
ho gaya aap-hi-ap aaj mudawa apna
gar masiha nahin aaya to qaza to aai
mujh ko shikwa nahin ab qasim-e-qismat se 'shakeb'
kuchh na aaya mere hisse mein wafa to aai
Ghazal
Tu na aaya teri yaadon ki hawa to aai
Shakeb Banarsi