اردو हिंदी
Tu meri ibtida tu meri intiha main samundar hun tu sahilon ki hawa | Shaahi Shayari
tu meri ibtida tu meri intiha main samundar hun tu sahilon ki hawa

Ghazal

Tu meri ibtida tu meri intiha main samundar hun tu sahilon ki hawa

Farhan Salim

;

tu meri ibtida tu meri intiha main samundar hun tu sahilon ki hawa
teri manzil bane mera har rasta main samundar hun tu sahilon ki hawa

roz-o-shab mauj-dar-mauj hun dar-ba-dar roz-o-shab sahilon par paTakta hun sar
hath aata nahin phir bhi daman tera main samundar hun tu sahilon ki hawa

meri shoridgi ke ye tufan sab meri KHamoshiyon ke ye arman sab
kuchh nahin ek teri aarzu ke siwa main samundar hun tu sahilon ki hawa

tu hi manzil meri tu hi had hai meri tujh se wabastagi nam-zad hai meri
tu na ho gar to main KHud mein kho jaunga main samundar hun tu sahilon ki hawa

KHushbuon se teri ye mahakta safar yun hi jari rahega mere auj par
tu masafat meri main tera rasta main samundar hun tu sahilon ki hawa