اردو हिंदी
Tu kya jaane teri babat kya kya socha karte hain | Shaahi Shayari
tu kya jaane teri babat kya kya socha karte hain

Ghazal

Tu kya jaane teri babat kya kya socha karte hain

Shamim Abbas

;

tu kya jaane teri babat kya kya socha karte hain
aankhen munde rahte hain aur tujh ko socha karte hain

dur talak lahren banti hain phailti hain kho jati hain
dil ke basi zehn ki jhil mein kankar phenka karte hain

ek ghana sa peD tha barson pahle jis ko kaT diya
sham Dhale kuchh panchhi hain ab bhi manDlaya karte hain

aksar yun hota hai hawaen ThaTTha mar ke hansti hain
aur khiDki darwaze apna sina piTa karte hain

tu ne basai hai jo basti us ki baaten tu hi jaan
yan to bachche ab bhi amman abba khela karte hain