tu kahan hai tujh se ek nisbat thi meri zat ko
kab se palkon par uThae phir raha hun raat ko
mere hisse ki zamin banjar thi main waqif na tha
be-sabab ilzam main deta raha barsat ko
kaisi basti thi jahan par koi bhi aisa na tha
munkashif main jis pe karta apne dil ki baat ko
sari duniya ke masail yun mujhe darpesh hain
tera gham kafi na ho jaise guzar-auqat ko
Ghazal
Tu kahan hai tujhse ek nisbat thi meri zat ko
Shahryar