اردو हिंदी
Tu jo chahe bhi to sayyaad nahin hone ke | Shaahi Shayari
tu jo chahe bhi to sayyaad nahin hone ke

Ghazal

Tu jo chahe bhi to sayyaad nahin hone ke

Adeel Zaidi

;

tu jo chahe bhi to sayyaad nahin hone ke
lab hamare lab-e-fariyaad nahin hone ke

us ke kuche mein miyan KHak uDate kyun ho
tum se majnun to use yaad nahin hone ke

koi achchhi bhi KHabar kan mein aae yarab
aisi KHabron se to dil shad nahin hone ke

tu rahe hum se KHafa kitna hi chahe lekin
hum magar tujh se to nashad nahin hone ke

kar-e-duniya ko hain darkar hamari umren
kar-e-duniya se to aazad nahin hone ke

an-ginat jagte chehre gae miTTi ke tale
ab nae zulm to ijad nahin hone ke

ta-qayamat wahi ek nam rahega aabaad
hum kabhi mustaqil aabaad nahin hone ke

KHak ho jaenge ye to hai muqaddar apna
hum magar wo hain ki barbaad nahin hone ke

chahe namrud ho firaun ho ya ki ho yazid
sahab-e-shajra-o-aulad nahin hone ke