tu jab mere ghar aaya tha
main ek sapna dekh raha tha
tere baalon ki KHushbu se
sara aangan mahak raha tha
chand ki dhimi dhimi zau mein
sanwla mukhDa lau deta tha
teri nind bhi uDi uDi thi
main bhi kuchh kuchh jag raha tha
mere hath bhi sulag rahe the
tera matha bhi jalta tha
do ruhon ka pyasa baadal
garaj garaj kar baras raha tha
do yaadon ka chaDhta dariya
ek hi sagar mein girta tha
dil ki kahani kahte kahte
raat ka aanchal bhig chala tha
raat gae soya tha lekin
tujh se pahle jag uTha tha
Ghazal
Tu jab mere ghar aaya tha
Nasir Kazmi