tu ja rahi hai chhoD ke ja phir kabhi sahi
ai bastiyon ki tez hawa phir kabhi sahi
ab aadmi ki jis pe musallat machine hai
ab zar ki justuju hai KHuda phir kabhi sahi
tujh ko Dubo gaya tujhe barbaad kar gaya
ye takiya-e-kalam tera phir kabhi sahi
is waqt ek rabt-e-musalsal hai na-guzir
pabandi-e-quyud-e-ana phir kabhi sahi
main apne iztirar se majbur ho gaya
us ne bigaD ke mujh se kaha phir kabhi sahi

Ghazal
Tu ja rahi hai chhoD ke ja phir kabhi sahi
Maratib Akhtar