اردو हिंदी
Tu hi hai meri ye bud-o-baqa tu aur nahin main aur nahin | Shaahi Shayari
tu hi hai meri ye bud-o-baqa tu aur nahin main aur nahin

Ghazal

Tu hi hai meri ye bud-o-baqa tu aur nahin main aur nahin

Mardan Safi

;

tu hi hai meri ye bud-o-baqa tu aur nahin main aur nahin
dekha jo apne ko tu hi mila tu aur nahin main aur nahin

tu hi adam ka tha parda-nashin mere dil ke makan ka hai tu hi makin
meri hasti hai sab ye zuhur tera tu aur nahin main aur nahin

mere hosh-ruba ne hai fazl kiya mujhe raaz-e-KHudai apna diya
meri ruh mein ruh mila ke kaha tu aur nahin main aur nahin

kahta hai ye mujh se mera sanam ki hain ek hi ye donon hudus-o-qidam
kuchh farq nahin is mein hai zara tu aur nahin main aur nahin

'mardan-safi' mera mah-e-laqa hai meri hi shakl mein jalwa-numa
mujh se ye kahta hai kah de khula tu aur nahin main aur nahin