tu harf-e-aKHiri mera qissa tamam hai
tere baghair zindagi karna haram hai
karne hain tere jism pe ek bar dastaKHat
taki KHuda se kah sakun tu mere nam hai
hota hai guftugu mein bahut bar tazkira
yani hawa charagh ka takiya-kalam hai
pahle-pahal mili thi hamein shiddaton ki dhup
ab yun hai rabte ki sarae mein sham hai
aaKHir mein bas nishan hain 'sahar' kuchh sawaliya
phir is ke baad dastan ka iKHtitam hai
Ghazal
Tu harf-e-aKHiri mera qissa tamam hai
Sidra Sahar Imran