اردو हिंदी
Tu hai gar mujhse KHafa KHud se KHafa hun main bhi | Shaahi Shayari
tu hai gar mujhse KHafa KHud se KHafa hun main bhi

Ghazal

Tu hai gar mujhse KHafa KHud se KHafa hun main bhi

Mazhar Imam

;

tu hai gar mujh se KHafa KHud se KHafa hun main bhi
mujh ko pahchan ki teri hi ada hun main bhi

ek tujh se hi nahin fasl-e-tamanna shadab
wahi mausam hun wahi aab-o-hawa hun main bhi

mujh ko pana ho to har lamha talab kar na mujhe
raat ke pichhle pahar mang! dua hun main bhi

sabt hun dast-e-KHamoshi pe hina ki surat
na-shunida hi sahi tera kaha hun main bhi

jaane kis samt chalun kaun se ruKH muD jaun
mujh se mat mil ki zamane ki hawa hun main bhi

yun na murjha ki mujhe KHud pe bharosa na rahe
pichhle mausam mein tere sath khila hun main bhi