tu hai aur aish hai aur anjuman-arai hai
main hun aur ranj hai aur gosha-e-tanhai hai
sach kaha hai ki ba-ummid hai duniya qaim
dil-e-hasrat-zada bhi tera tamannai hai
dil ki fariyaad jo sunta hun to ro deta hun
choT kambaKHt ne kuchh aisi hi to khai hai
be-niyazi ki adaen wo dikhate hain bahut
KHu-e-taslim meri un ko pasand aai hai
zulf barham mizha bargashta jabin chin-alud
meri bigDi hui taqdir ki ban aai hai
adab-amoz bala ka hai taghaful un ka
shauq-e-pur-hausla ne KHub saza pai hai
kahe deta hun kisi aur ki jaanib tu na dekh
kya ye kuchh kam hai ki 'wahshat' tera saudai hai
Ghazal
Tu hai aur aish hai aur anjuman-arai hai
Wahshat Raza Ali Kalkatvi