tu bhi wahan nahin mohabbat jahan nahin
har aastan-e-husn tera aastan nahin
ulfat ki thin dalil teri bad-gumaniyan
ab bad-guman main hun ki tu bad-guman nahin
dilkash hai gulsitan bhi tere husn ki tarah
lekin teri ada ki tarah dil-sitan nahin
nemat mili hai tum ko jawani ki dosto
afsos hai ki azm tumhaara jawan nahin
kyunkar kahun ki log hain su-e-adm-e-rawan
is karwan mein gard-e-pas-e-karwan nahin
hai be-niyaz-e-shadi-o-gham meri be-KHudi
ye wo chaman hai jis mein bahaar o KHizan nahin
nadim mera sukut ki hai qalb-sog-war
duniya samajh rahi hai KHamoshi fughan nahin
Ghazal
Tu bhi wahan nahin mohabbat jahan nahin
Jagdish Sahay Saxena