tu bhi wafa ke rup mein ab Dhal ke dekh le
is aag mein hamari tarah jal ke dekh le
dasht-e-talab mein pyar ke ghunche bhi khil uThen
kuchh roz mere sath kabhi chal ke dekh le
mumkin hai koi subh-e-tamanna ho is ke baad
ai hasraton ki raat zara Dhal ke dekh le
kuchh gard-baad gham ke umidon ke kuchh sarab
manzar hamare dil mein koi thal ke dekh le
rakhte hain hum bhi jurat-e-izhaar-e-zindagi
mahrumiyon ka KHauf agar Tal ke dekh le
is dil mein ho chuka hai bahut walwalon ka KHun
ai jazb-e-shauq tu bhi yahan pal ke dekh le
'azhar' tera nasib hai ye shabnami bahaar
chehre pe tu bhi rang-e-KHizan mal ke dekh le
Ghazal
Tu bhi wafa ke rup mein ab Dhal ke dekh le
Azhar Javed