tu bewafa hi sahi tujh se pyar aaj bhi hai
tere liye ye dil-o-jaan nisar aaj bhi hai
main jaanta hun na aaega tu palaT ke kabhi
magar mujhe to tera intizar aaj bhi hai
tu lakh ghair sahi aaj-kal tu tha mera
dil-o-jigar pe tera iKHtiyar aaj bhi hai
tere baghair bhi duniya bahut hasin hai magar
tere firaq mein dil be-qarar aaj bhi hai
KHushi hai mujh ko tujhe mil gai teri manzil
KHushi se aankh meri ashk-bar aaj bhi hai
na bhar sakega kabhi us ko waqt ka marham
tere karam se mera dil figar aaj bhi hai
main tere bagh ka barg-e-KHizan-rasida hun
tu wo kali hai ki jis par bahaar aaj bhi hai
bichhaD ke tujh se jiye ja raha hai kyun 'arif'
jigar mein ye KHalish-e-nok-e-KHar aaj bhi hai
Ghazal
Tu bewafa hi sahi tujhse pyar aaj bhi hai
Arif Hasan Khan