tu bewafa hai tera e'tibar kaun kare
tamam umr tera intizar kaun kare
bahut dinon se main KHush-fahmi-e-visal mein hun
jo tu nahin to mujhe be-qarar kaun kare
sunaen haal bhi dil ka agar sune koi
sune na jab koi chiKH-o-pukar kaun kare
wo aae ya ki na aae ye us ki hai marzi
shumar-e-gardish-e-lail-o-nahaar kaun kare
jo main bhi sab ki tarah bas tere qaside likhun
ilaj-e-barhami-e-rozgar kaun kare
agar nasib mein 'zaigham' KHizan hi likkhi ho
to phir jahan mein talash-e-bahaar kaun kare
Ghazal
Tu bewafa hai tera etibar kaun kare
Zaigham Hameedi