اردو हिंदी
Tu asir-e-bazm hai ham-suKHan tujhe zauq-e-nala-e-nai nahin | Shaahi Shayari
tu asir-e-bazm hai ham-suKHan tujhe zauq-e-nala-e-nai nahin

Ghazal

Tu asir-e-bazm hai ham-suKHan tujhe zauq-e-nala-e-nai nahin

Nasir Kazmi

;

tu asir-e-bazm hai ham-suKHan tujhe zauq-e-nala-e-nai nahin
tera dil gudaz ho kis tarah ye tere mizaj ki lai nahin

tera har kamal hai zahiri tera har KHayal hai sarsari
koi dil ki baat karun to kya tere dil mein aag to hai nahin

jise sun ke ruh mahak uThe jise pi ke dard chahak uThe
tere saz mein wo sada nahin tere mai-kade mein wo mai nahin

kahan ab wo mausam-e-rang-o-bu ki ragon mein bol uThe lahu
yunhi nagawar chubhan si hai ki jo shamil-e-rag-o-pai nahin

tera dil ho dard se aashna to ye nala ghaur se sun zara
baDa jaan-gusil hai ye waqia ye fasana-e-jam-o-kai nahin

main hun ek shair-e-be-nawa mujhe kaun chahe mere siwa
main amir-e-sham-o-ajam nahin main kabir-e-kufa-o-rai nahin

yahi sher hain meri saltanat isi fan mein hai mujhe aafiyat
mere kasa-e-shab-o-roz mein tere kaam ki koi shai nahin