اردو हिंदी
Tu agar mera tazkira karega | Shaahi Shayari
tu agar mera tazkira karega

Ghazal

Tu agar mera tazkira karega

abdurrahman momin

;

tu agar mera tazkira karega
jhuT bolega aur kya karega

KHud ko tu jaanta nahin shayad
tu samajhta hai sab KHuda karega

zaKHm kha kar bhi jo duaen de
kaun us ka muqabla karega

kya use yaad bhi na aaunga
kya mujhe yaad wo kiya karega

phir kahan mil sakega wo mujh se
jo mujhe aap se juda karega

apni jhuTi ana ki KHatir to
jaane kis kis se rabta karega

dil hi aisa hai ba-wafa 'momin'
bewafa se bhi jo wafa karega