tu agar beTiyan nahin likhta
to samajh khiDkiyan nahin likhta
sardiyan jo thin sab sahin main ne
dhup ko arziyan nahin likhta
jab shahr puchhta nahin us ko
ganw bhi chiTThiyan nahin likhta
main hawa ke gunah ke badle
aag ki ghalatiyan nahin likhta
page sada hi chhoD deta hun
main kabhi talKHiyan nahin likhta
is mein bachche ka hai gunah kahan
wo agar titliyan nahin likhta
Ghazal
Tu agar beTiyan nahin likhta
Pratap Somvanshi

