tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-maqam se guzar
misr o hijaz se guzar paras o sham se guzar
jis ka amal hai be-gharaz us ki jaza kuchh aur hai
hur o KHiyam se guzar baada-o-jam se guzar
garche hai dil-kusha bahut husn-e-farang ki bahaar
taeak-e-buland-baal dana-o-dam se guzar
koh-shigaf teri zarb tujh se kushad-e-sharq-o-gharb
tegh-e-hilal ki tarah aish-e-niyam se guzar
tera imam be-huzur teri namaz be-surur
aisi namaz se guzar aise imam se guzar
Ghazal
Tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-maqam se guzar
Allama Iqbal