tu aag rakhna ki aab rakhna
hai shart itni hisab rakhna
zaban ka kuchh KHayal rakhkar
bayan ko kaamyab rakhna
qarib aao ki chahta hun
hatheli par mahtab rakhna
agar tamazat ko sah sako tum
to hasrat-e-aftab rakhna
jo kahni ho baat KHar jaisi
to lahja apna gulab rakhna
'ziya' kisi se sawal puchho
to zehn mein tum jawab rakhna
Ghazal
Tu aag rakhna ki aab rakhna
Subhash Pathak Ziya