turfa chaman khila hai dil-e-dagh-dar ka
yani KHizan se kaam liya hai bahaar ka
kaT jae patta kab waraq-e-rozgar ka
kya e'tibar hasti-e-na-paedar ka
madfan hai ek shahid-e-gharib-ud-dayar ka
katba bata raha hai ye lauh-e-mazar ka
pahuncha saba ke sath wo kuche mein yar ke
dekho to hausla mere musht-e-ghubar ka
jannat ka sabz-bagh na zahid dikha mujhe
mere bhi ghar mein peD laga hai anar ka
bara-dari mein rahta hun 'shoala' sharaf ye hai
asna-ashar hun shukr hai parwardigar ka
Ghazal
Turfa chaman khila hai dil-e-dagh-dar ka
Shola Kararvi

