اردو हिंदी
Tumhin ek nahin jaan-setan aur bhi hain | Shaahi Shayari
tumhin ek nahin jaan-setan aur bhi hain

Ghazal

Tumhin ek nahin jaan-setan aur bhi hain

Fazl Ahmad kariim Fazli

;

tumhin ek nahin jaan-setan aur bhi hain
bahut hadsat-e-jahan aur bhi hain

hasin aur bhi hain jawan aur bhi hain
ghazalan-e-abru-kaman aur bhi hain

sabhi ko mohabbat mein hote hain sadme
abhi kya abhi imtihan aur bhi hain

chalo dhum se jashn-e-matam manaen
hamein ek nahin nauha-KHwan aur bhi hain

nahin KHatm kuchh aasman par KHudai
mere haal par mehrban aur bhi hain

naqab us ne ruKH se uThai to lekin
hijabaat kuchh darmiyan aur bhi hain

fareb-e-karam ek to un ka hai is par
sitam meri KHush-fahmiyan aur bhi hain

wafa un se apni jatane gae the
magar ab to wo bad-guman aur bhi hain

nahin sabr hi ki kami tujh mein 'fazli'
meri jaan kuchh KHamiyan aur bhi hain