اردو हिंदी
Tumhin batao wo kaun hai jo har ek lamha sata raha hai | Shaahi Shayari
tumhin batao wo kaun hai jo har ek lamha sata raha hai

Ghazal

Tumhin batao wo kaun hai jo har ek lamha sata raha hai

Razia Halim Jang

;

tumhin batao wo kaun hai jo har ek lamha sata raha hai
na nind raaton ko aa rahi hai na chain din ko hi aa raha hai

ye ashk daman bhigo rahe hain ye aankhen suji hui hain meri
main ek jalwe ki us ke talib magar wo parde gira raha hai

tawaf-e-kaba ko dekh to le taDap raha hai wajud mera
na panw ab mere uTh rahe hain na samne ghar wo aa raha hai

main ek majbur na-tawan si zaif bandi hun us se talib
tamasha chup-chap dekhta hai kahan taras mujh pe kha raha hai

tujhe usi ki qasam hai maula hai tujh ko mahbub do jahan mein
wo apne jalwe dikha de mujh ko jo tu nazar se chhupa raha hai

har ek tadbir be-asar hai na ji rahi hun na mar rahi hun
junun-e-ishq-e-KHuda hi logo ye haal mera bana raha hai