tumhin batao pukara hai bar bar kise
aziz kahte hain gham-ha-e-rozgar kise
sukut-e-raaz kaho ya sukut-e-majburi
magar labon ki jasarat thi nagawar kise
KHizan mein kis ne bahaaron ki dilkashi bhar di
duaen deta hai daman ka tar tar kise
kahan wo dagh ki dil ka guman kare koi
samjhiye ahd-e-tamanna ki yaadgar kise
nasim-e-subh ka ghunchon ko intizar sahi
hawa-e-dasht hun main mera intizar kise
shaguftagi ka ishaara hai phul barsenge
na-jaane aaj nawazegi shaKH-e-dar kise
jarahaton ke KHazane luTa diye 'taban'
kiya hai rah ke kanTon ne itna pyar kise

Ghazal
Tumhin batao pukara hai bar bar kise
Taban Ghulam Rabbani