tumhi sardar ho gulshan ke ye batla dena
koi ham-sar ho to diwar mein chunwa dena
mutlaq-ul-hukm hain sab in dinon ghabrae hue
ye KHabar us ke huzur aaj hi pahuncha dena
sar uThaega zamana ye kahe deta hun
junhi aisa ho use dar par khinchwa dena
mere tarik makan mein use hogi taklif
ai saba us ko gulistan hi mein Thahra dena
us kisi chiz pe bhule se bhi machla na kare
mere 'dauran' dil-e-pur-KHun ko ye samjha dena
Ghazal
Tumhi sardar ho gulshan ke ye batla dena
Owais Ahmad Dauran