tumhein zeba nahin hargiz sile ki aarzu rakhna
tumhaara kaam hai 'atish' qalam ki aabru rakhna
agar dil mein tamanna-e-nashat-e-rang-o-bu rakhna
maal-e-KHanda-gul ko bhi apne ru-ba-ru rakhna
ye mai-KHana hai mai-KHana taqaddus us ka lazim hai
yahan jo bhi qadam rakhna hamesha ba-wazu rakhna
kahin tauq-o-salasil hain kahin zahr-e-halahal hai
mujhe har aazmaish mein ilahi surKH-ru rakhna
zamane par kise malum kaisa bar guzra hai
mera haqq-o-sadaqat par madar-e-guftugu rakhna
na mil pae suragh-e-manzil-e-jaanan na mil pae
hamara kaam hai jari talash-o-justuju rakhna
Ghazal
Tumhein zeba nahin hargiz sile ki aarzu rakhna
Aatish Bahawalpuri